Hindi Shayari ( हिंदी शायरी )



1.

Jo Teer Bhi Aata Woh Khaali Nahi Jata,
Mayoos Mere Dil Se Sawali Nahi Jata,
Kaante Hi Kiya Karte Hain Phoolo Ki Hifazat,
Phoolo Ko Bachane Koi Maali Nahi Aata.

जो तीर भी आता वो खाली नहीं जाता,
मायूस मेरे दिल से सवाली नहीं जाता,
काँटे ही किया करते हैं फूलों की हिफाज़त,
फूलों को बचाने कोई माली नहीं जाता।

2.
Ab Na Main Hun, Na Baaki Hai Zamane Mere,
Fir Bhi MashHoor Hain Shaharon Mein Fasane Mere,
Zindagi Hai Toh Naye Zakhm Bhi Lag Jayenge,
Ab Bhi Baaki Hain Kayi Dost Puraane Mere.

अब ना मैं हूँ, ना बाकी हैं ज़माने मेरे​,
फिर भी मशहूर हैं शहरों में फ़साने मेरे​,
ज़िन्दगी है तो नए ज़ख्म भी लग जाएंगे​,
अब भी बाकी हैं कई दोस्त पुराने मेरे।

3.
Humara Zikr Bhi Ab Jurm Ho Gaya Hai Wahan,
Dino Ki Baat Hai Mefil Ki Aabru Hum The,
Khayal Tha Ke Yeh Pathrav Rok Dein Chal Kar,
Jo Hosh Aaya Toh Dekha Lahu Lahu Hum The.

हमारा ज़िक्र भी अब जुर्म हो गया है वहाँ,
दिनों की बात है महफ़िल की आबरू हम थे,
ख़याल था कि ये पथराव रोक दें चल कर,
जो होश आया तो देखा लहू लहू हम थे।

4.


Khamoshi Se Bikharna Aa Gaya Hai,
Humein Ab Khud Ujadna Aa Gaya Hai,
Kisi Ko Bewafa Kehte Nahi Hum,
Humein Bhi Ab Badlna Aa Gaya Hai,
Kisi Ki Yaad Mein Rote Nahi Hum,
Humein Chup Chap Jalna Aa Gaya Hai,
Gulaabon Ko Tum Apne Pass Hi Rakho,
Humein Kaanton Pe Chalna Aa Gaya Hai.

खामोशी से बिखरना आ गया है,
हमें अब खुद उजड़ना आ गया है,
किसी को बेवफा कहते नहीं हम,
हमें भी अब बदलना आ गया है,
किसी की याद में रोते नहीं हम,
हमें चुपचाप जलना आ गया है,
गुलाबों को तुम अपने पास ही रखो,
हमें कांटों पे चलना आ गया है।

5.

Waqt Noor Ko Benoor Kar Deta Hai,
Chhote se Zakhm Ko Nasoor Kar Deta Hai,
Kaun Chahta Hai Apno Se Dur Rehna,
Par Waqt Sabko Majboor Kar Deta Hai.
वक़्त नूर को बेनूर कर देता है,
छोटे से जख्म को नासूर कर देता है,
कौन चाहता है अपनों से दूर रहना,
पर वक़्त सबको मजबूर कर देता है।

6.

Na Jee Bhar Ke Dekha Na Kuchh Baat Ki,
Badi Aarzoo Thi Mulaqat Ki,
न जी भर के देखा न कुछ बात की,
बड़ी आरज़ू थी मुलाक़ात की।

Kayi Saal Se Kuchh Khabar Hii Nahi,
Kahaan Din Gujara Kahaan Raat Ki,
कई साल से कुछ ख़बर ही नहीं,
कहाँ दिन गुज़ारा कहाँ रात की।

7.

Ujalon Ki Pariya Nahane Lagi,
Nadi Gungunayi Khyalat Ki,
उजालों की परियाँ नहाने लगीं,
नदी गुनगुनाई ख़यालात की।

8.

Ek Chehra Jo Mere Khwaab Sajaa Deta Hai,
Mujh Ko Mere Hi Khayaalon Mein Sadaa Deta Hai,
एक चेहरा जो मेरे ख्वाब सजा देता है,
मुझ को मेरे ही ख्यालों में सदा देता है।

9

Wo Mera Kaun Hai Maloom Nahi Hai Lekin,
Jub Bhi Milta Hai To Pehlu Mein Jagaha Deta Hai,
वो मेरा कौन है मालूम नहीं है लेकिन,
जब भी मिलता है तो पहलू में जगा देता है।

10.

Samandar Mein Utarta Hoon,
Toh Aankhien Bheeg Jati Hain,
Teri Aankhon Ko Parhta Hoon,
Toh Aankhien Bheeg Jati Hain,
Tumhara Naam Likhne Ki,
Izazat Chhin Gayi Jab Se,
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon
Toh Aankhien Bheeg Jati Hain.

समंदर में उतरता हूँ
तो आँखें भीग जाती हैं,
तेरी आँखों को पढ़ता हूँ
तो आँखें भीग जाती हैं,
तुम्हारा नाम लिखने की
इजाज़त छिन गई जबसे,
कोई भी लफ्ज़ लिखता हूँ
तो आँखें भीग जाती हैं।

11.

Abhi Se Kyun Chhalak Aaye Tumhari Aankh Mein Aansoo,
Abhi Chhedi Kahan Hai Daastaan-e-Zindagi Maine.
अभी से क्यों छलक आये तुम्हारी आँख में आँसू,
अभी छेड़ी कहाँ है दास्तान-ए-ज़िंदगी मैंने।

12.

Jab Lafz Thak Gaye Toh Phir Aankhon Ne Baat Ki,
Jo Aankhein Bhi Thak Gayin Toh Ashqon Se Baat Hui.
जब लफ्ज़ थक गए तो फिर आँखों ने बात की,
जो आँखें भी थक गयीं तो अश्कों से बात हुई।

13.

Phir Aaj Aansuon Mein Nahayi Huyi Hai Raat,
Shayad Humari Tarah Hi Sataayi Huyi Hai Raat.
फिर आज आँसुओं में नहाई हुई है रात,
शायद हमारी तरह ही सताई हुई है रात।

Na Jaane Kaun Sa Aansoo Mera Raaz Khol De,
Hum Iss Khayal Se Najrein Jhukaye Baithhe Hain.
न जाने कौन सा आँसू मेरा राज़ खोल दे,
हम इस ख़्याल से नज़रें झुकाए बैठे हैं।

14.

Wahan Se Paani Ki Ek Boond Bhi Na Nikli,
Tamaam Umr Jin Aankhon Ko Jheel Likhte Rahe.
वहाँ से पानी की एक बूँद भी न निकली,
तमाम उम्र जिन आँखों को झील लिखते रहे।

Piro Diye Mere Aansoo Hawa Ne Shaakhon Mein,
Bharam Bahaar Ka Waaki Raha Aankhon Mein.
पिरो दिये मेरे आँसू हवा ने शाखों में,
भरम बहार का वाकी रहा आँखों में।

15.

Aaj Ashq Se Aankhon Mein Kyun Aaye Hue,
Gujar Gaya Hai Zaman Tujhe Bhulaye Hue.
आज अश्क से आँखों में क्यों हैं आये हुए,
गुजर गया है ज़माना तुझे भुलाये हुए।

Tu Ishq Ki Doosari Nishani De De Mujhko,
Aansoo Toh Roj Gir Ke Sookh Jate Hain.
तू इश्क की दूसरी निशानी दे दे मुझको,
आँसू तो रोज गिर कर सूख जाते हैं।





Comments